khawab poetry in urdu – koi khwab tha jo

read khawab poetry in urdu. Khawab is urdu word means dream in english. In urdu poetry this word have very amazing meaning.

کوئی خَواب تھا جو بِکھر گِیا کوئی دَرد تھا جو ٹھہر گِیا

مگر اِس کا کوئی بھی غَم نَہیں جو گُزر گِیا سو گزر گِیا

یہ دِل و نَظر کا معاملہ بھی بہت عَجیب و غَریب ہے

کبھی اِن لَبوں پہ ہنسی رَہی کبھی اَشک آنکھ میں بَھر گِیا

مَیں زُباں سے کُچھ بھی نہ کہہ سکَا وہ نَظر سَے کُچھ نہ سمَجھ سَکا

نہ میرے ہی دِل سے جھجک گئی نہ تو اِس کے دِل سے ہی ڈر گِیا

کبھی تُجھ سے بھی نہ سَنبھل سَکا کبھی مُجھ سے بھی نہ سَنبھل سَکا

تیرا آئنہ بھی بِکھر گِیا میرا آئنہ بھی بِکھر گِیا

تُجھے ہوگا اِس کا مَلال کیا مجُھے ہوگا اِس کا خیال کیا

تیرے حُسن سے بھی کَشش گئی میرے عِشق سے بھی اَثر گِیا

وہ حَسین چہروں کی بھیڑ تھی کہ نَظر بھٹکتی ہی رہ گئی

تیری جُستجو کا نَشہ تھا جو کِسی موڑ پر وہ اُتر گِیا

یہ جو رَنگ فِکر و خیال ہے یہ تیری نَظر کا کمَال ہے

تیرا حُسن تھا کوئی آئنہ جِسے دیکھ کر مَیں سَنور گِیا

koi khwab tha jo bikhar giya lyrics in urdu
koi khwab tha jo bikhar giya lyrics in urdu

lyrics koi khwab tha jo bikhar giya in urdu

koi khwab tha jo bikhar giya koi dard tha jo thehar giya

Magar iss ka koi bhi gham nahi jo guzar giya su guzar giya

Yeh dil-o-nazar ka muamla bhi buhat ajeeb-o-ghareeb hai

Kabhi inn labon pay hansi rahi kabhi ashk ankh main bhar giya

Main zuban say kuch bhi na keh saka, wo nazar say kuch na samajh saka

Na meray hi dil say jhijak gai, na tu us kay dil say hi darr giya

Kabhi tujh say bhi na sambhal saka, kabhi mujh say bhi na sanbhal saka

Tera aaina bhi bikhar giya, mera aaina bhi bikhar giya

Tujhay ho ga iss ka milal kiya, mujhay ho ga us ka khhiyal kiya

Teray husn say bhi kashish gai, mery ishq say bhi assar giya

Wo haseen chehroon ki bheer thi, keh nazar bhatakti hi reh gai

Teri justajo ka nasha tha jo, kisi morr par wo utar giya

Ye jo rang fika-o-khiyal hai, yeh teri nazar ka kamal hai

Tera husn tha koi aaina, jisay dekh kar main sanwar giya

khawab poetry in urdu

khawab poetry in urdu
khawab poetry in urdu

ہائے وہ لوگ گئے چاند سے ملنے اور پھر

اپنے ہی ٹوٹے ہُوئے خواب اُٹھا کر لے آئے

haye wo log gaye chand say milnay aur phir

apnay hi tutay huway khwab utha kar lay aaye

khawab poetry in urdu
khawab poetry in urdu

میری حقیقت بھی ہے اِک خواب کی طرح

خواب بھی وہ کہ جس کی کوئی تعبیر ہی نہیں

meri haqeqat bhi hai ik khwab ki tarah

khwab bhi wo jis ki koi tabeer hi nahi

wo so giya hai mujhay khwab say jagatay huway
wo so giya hai mujhay khwab say jagatay huway

کہانی لکھتے ہوئے داستاں سُناتے ہُوے

وہ سو گیا ہے مُجھے خواب سے جگاتے ہُوئے

kahani likhtay huway dastan sunatay huway

wo so giya hai mujhay khwab say jagatay huway

khwab hotay hain dekhnay kay liye
khwab hotay hain dekhnay kay liye

خواب ہوتے ہیں دیکھنے کےلئے

اِن میں جا کر مگر رہا نہ کرو

khwab hotay hain dekhnay kay liye

inn main ja kar magar raha na karo

toot kar chubh raha hai ankhon main

kanch ka tha shayad khwab mera
kanch ka tha shayad khwab mera

ٹوٹ کر چبھ رہا ہے آنکھوں میں

کانچ کا تھا شاید خواب میرا

toot kar chubh raha hai ankhon main

kanch ka tha shayad khwab mera

پتہ نہیں کِتنا ناراض ہے وہ مٌجھ سے

خوابوں میں بھی مِلتا ہے تو بات نہیں کرتا

pata nahi kitna naraz hai wo mujh say

khwabon main bhi milta hai tu baat nahi karta 

خواب شاعری

خواب ہی خواب کب تلک دیکھوں

کاش تٌجھ کو بھی ایک جھلک دیکھوں

khwab hi khwab kab talak dekhon

kash tujh ko bhi aik jhalak dekhon

اب تلخیوں کا سامنا کرنے کا وقت ہے

اب عمر خواب دیکھنے والی نہیں رہی

ab talkhiyoun ka samna karnay ka waqt hai

ab umer khwab dekhnay wali nahi rahi

جس طرح خواب میرے ہو گۓ ریزہ ریزہ

اس طرح ٹوٹ کے بکھرے نہ کبھی کوٸ

jis tarah khwab mery ho gaye reza reza

iss tarah toot kay bikhray na kabhi koi

مانا کہ سب کے سامنے ملنے سے ہے حجاب

لیکن وہ خواب میں بھی نہ إٓیں تو کیا کریں

mana kay sab kay samnay milnay say hai hijab

lekin wo khwab main bhi na aayen tu kiya karain

شب کو کِسی کے خواب میں آیا نہ ہو کہیں

دٌکھتے ہیں آج اٌس بٌتِ نازک بدن کے پاٶں

shab ko kisi kay khwab main aya na ho kahin

dukhtay hain aaj us butt-e-nazuk badan kay paon

اِک خواب نے جگایا ہے رات بھر

میں نے ہر کروٹ بدل کے دیکھ لیا

ik khwab nay jagaya hai raat bhar

main nay har karwat badal kay dekh liya

یہ بھی خوابوں ہی کی مہربانی ہے

جانے والے دکھائی دیتے ہیں

ye bhi khwabon hi ki mehrbani hai

janay waly dikhai daity hain

اس سے کہہ دو کہ مٌحبّت میں خیانت نہ کرے

وہ اگر خواب بھی دیکھے تو ہمارے دیکھے

read more

thanx for free image download

https://www.ecopetit.cat/

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top