husn ki tareef poetry urdu- best 25 shayari

read husn ki tareef poetry in urdu. find best collection of husn shayari in urdu, urdu poetry on beauty and on images. 2 line shair in urdu.

نہ پوچھو حسن کی تعریف ہم سے

محبت جس سے ہو بس وہ حسیں ہے

na pochho husn ki tareef ham say

muhabbat jis say ho bas wo haseen hay

haseen teri aankhain - husn ki tareef urdu poetry - besturdupoetry.pk
haseen teri aankhain – husn ki tareef urdu poetry – besturdupoetry.pk

حسین تیری آنکھیں حسین تیرے آنسو

یہیں ڈوب جانے کو جی چاہتا ہے

haseen teri aankhain haseen tery anso

yahin doobh jany ko gee chahita hay

ab main samjha
ab main samjha, urdu poetry on beauty

اب میں سمجھا تیرے رخسار پہ تِل کا مطلب

دولتِ حُسن پہ دربان بٹھا رکھا ہے

ab main samjha tery rukhsar pay til ka matlab

daulat e husn pay darban bitha rakha hay

roshan jamal e yaar say - husn ki tareef urdu poetry - hassrat mohani - besturdupoetry.pk
roshan jamal e yaar say – husn ki tareef urdu poetry

روشن جمال یار سے ہے انجمن تمام

دہکا ہوا ہے آتش گل سے چمن تمام

roshan jamal e yaar say hay anjaman tamam

dehqa huwa hay aatish e gul say chaman tamam

us kay chehry ki chamak
us kay chehry ki chamak

اس کے چہرے کی چمک کے سامنے سادہ لگا

آسماں پہ چاند پورا تھا مگر آدھا لگا

uss kay chehry ki chamak kay samny sada laga

aasman pay chand pura tha magar aadha laga

itnay hijabon per tu yeh aalam hay
itnay hijabon per tu yeh aalam hay

اتنے حجابوں پر تو یہ عالم ہے حسن کا

کیا حال ہو جو دیکھ لیں پردہ اٹھا کے ہم

itnay hijabon per tu yeh aalam hay husn ka

kiya haal ho jo dekh lain parda utha kay ham

uff wo marmar say tarasha huwa
uff wo marmar say tarasha huwa

اف وہ مرمر سے تراشا ہوا شفاف بدن

دیکھنے والے اسے تاج محل کہتے ہیں

uff wo marmar say tarasha huwa shifaf badan

dekhny waly issay taj mahal kehty han

beauty husn ki tareef urdu poetry

phool gul shamas o qamar saray hi thy
phool gul shamas o qamar saray hi thy

پھول گل شمس و قمر سارے ہی تھے

پر ہمیں ان میں تمہیں بھائے بہت

phool gul shamas o qamar saray hi thy

per hamain un main tumhain bhaye buhat

faqt aik ka honay main
faqt aik ka honay main

فقط ایک کا ہونے میں ہی حُسنِ بندگی ہے غالب

جو روز قبلہ بدلتے ہیں وہ بے دین ہوتے ہیں

faqt aik ka hony main hi husn bandagi hay ghalib

jo roz qibla badalty han wo bay-deen hoty hain

elahi kesi kesi suratain tu nay banai han
elahi kesi kesi suratain tu nay banai han

الٰہی کیسی کیسی صورتیں تو نے بنائی ہیں

کہ ہر صورت کلیجے سے لگا لینے کے قابل ہے

elahi kesi kesi suratain tu nay banai han

kay har surat kalejay say laga lenay kay qabil hay

barra wasih hay us kay jamal ka manzar
barra wasih hay us kay jamal ka manzar

بڑا وسیع ہے اس کے جمال کا منظر

وہ آئینے میں تو بس مختصر سا رہتا ہے

barra wasih hay uss kay jamal ka manzar

wo aainay main tu bas mukhtasir sa rehta hay

suna hay uss kay badan ki tarash aaisi hay
suna hay uss kay badan ki tarash aaisi hay

سنا ہے اس کے بدن کی تراش ایسی ہے

کہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں

suna hay uss kay badan ki tarash aaisi hay

kay phool apni qabain kutar kay dekhty han

pucho na arq rukhsaron say
pucho na arq rukhsaron say

پوچھو نہ عرق رخساروں سے رنگینئ حسن کو بڑھنے دو

سنتے ہیں کہ شبنم کے قطرے پھولوں کو نکھارا کرتے ہیں

pucho na arq rukhsaron say, rangin-e-husn ko bharnay do

suntay han kay shabnum kay katry, phoolon ko nikhara karty han

tery jamal ki tasveer khench doon lekin - husn ki tareef urdu poetry - besturdupoetry.pk
tery jamal ki tasveer khench doon lekin – husn ki tareef urdu poetry – besturdupoetry.pk

ترے جمال کی تصویر کھینچ دوں لیکن

زباں میں آنکھ نہیں آنکھ میں زبان نہیں

tery jamal ki tasveer khench doon lekin

zuban main aankh nahi, aankh main zuban nahi

urdu shayai tareef poetry

rukh-e-roshan kay aagay shamah
rukh-e-roshan kay aagay shamah

رخ روشن کے آگے شمع رکھ کر وہ یہ کہتے ہیں

ادھر جاتا ہے دیکھیں یا ادھر پروانہ آتا ہے

rukh e roshan kay aagay shamah rakh kar wo yeh kehty han

udhar jata hay dekhain, ya idhar perwana aata hay

teri surat say kisi ki nahi milti surat
teri surat say kisi ki nahi milti surat

تیری صورت سے کسی کی نہیں ملتی صورت

ہم جہاں میں تری تصویر لیے پھرتے ہیں

teri surat say kisi ki nahi milti surat

ham jahan main teri tasveer liye phirtay han

phoolon ki saij per zara aaram kiya kiya
phoolon ki saij per zara aaram kiya kiya

پھولوں کی سیج پر ذرا آرام کیا کیا

اس گلبدن پہ نقش اٹھ آئے گلاب کے

phoolon ki saij per zara aaram kiya kiya

uss gulbadan pay naqsh utth aaye gulab kay

میری نگاہ شوق بھی کچھ کم نہیں مگر

پھر بھی ترا شباب ترا ہی شباب ہے

meri nigah e shauq bhi kuch kam nahi magar

phir bhi tera shabab tera hi shabab hay

na dekhna kabhi aaina bhool kar dekho
na dekhna kabhi aaina bhool kar dekho

نہ دیکھنا کبھی آئینہ بھول کر دیکھو

تمہارے حسن کا پیدا جواب کر دے گا

na dekhna kabhi aaina bhool kar dekho

tumhary husn ka paida jawab kar day ga

chehra ghazal
chehra ghazal

چہرہ غزل ہونٹ کھلتے گُلاب ادائیں دلنشیں

دیکھ کر تُجھ کو حُسن نے بھی کہا آفریں آفریں

chehra ghazal hont khilty gulab adain dil nashin

dekh kar tujh ko husn nay bhi kaha aafrin aafrin

us nay husn ki tareef mangi thi mujh say - husn ki tareef urdu
us nay husn ki tareef mangi thi mujh say – husn ki tareef urdu

اُس نے حُسن کی تعریف مانگی تھی مُجھ سے

میں نے اُسے آئینہ دِکھا دِیا

us nay husn ki tareef mangi thi mujh say

main nay usay aaina dikha diya

حُسن شاعری

aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir
aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir

آئینہ خود بھی  سنورتا تھا ہماری خاطر

ہم ترے واسطے تیار ہوا کرتےتھے

aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir

ham teray wastay tayyar huwa kartay thay

dekhna achha nahi zanu pay rakh kar aaina
dekhna achha nahi zanu pay rakh kar aaina

دیکھنا اچھا نہیں زانو پہ رکھ کر آئنہ

دونوں نازک ہیں نہ رکھیو آئنے پر آئنہ

dekhna achha nahi zanu pay rakh kar aaina

dono nazak han na rakhyo ainy pay aaina

tery husn ki tareef main doobh hi na jaon kahin
tery husn ki tareef main doobh hi na jaon kahin

تیرے حُسن کی تعریف میں ڈوب ہی نہ جاوں کہیں

اس قطرے کو سمندربن کے نہ مِلا کر

tery husn ki tareef main doobh hi na jaon kahin

iss katry ko samundar ban kay na mila kar

sanwarty haan wo aaina dekh kar
sanwarty haan wo aaina dekh kar

سنورتے ہیں وہ آئنہ دیکھ کر

سنور جائیں تو آئنہ دیکھتا ہے

sanwarty haan wo aaina dekh kar

sanwar jain tu aaina dekhta hay

meri nazron main wo haseen hay jo tum sa ho
meri nazron main wo haseen hay jo tum sa ho

مجھ کو معلوم نہیں ، حُسن کی تعریف لیکن

میری نظروں میں وہ حسین ہےجو تُم سا ہو

mujh ko maloom nahi, husn ki tareef lekin

meri nazron main wo haseen hay jo tum sa ho

urdu poetry on beauty

us nay tareef hi kuch iss andaz main ki
us nay tareef hi kuch iss andaz main ki

اُس نے تعریف ہی کُچھ اِس انداز میں کِی

اپنی ہی تصویر کو سَو بار دیکھا میں نے

us nay tareef hi kuch iss andaz main ki

apni hi tasveer ko sau baar dekha main nay

تیری اک مسکراہٹ کے سدقے

میں اپنی ساری خوشیاں وار دوں

teri aik muskoraht ky sadqy

main apni sari khushain war doon

مٌحبّت کے بازار میں حٌسن کی ضرورت نہیں

دِل جِس پہ آ جاۓ وہ سب سے حسین ہے

muhabbat kay bazar main husn ki zururat nahi

dil jis pay aa jaye bass wo sab say haseen hai

قیامت ہے تیرا یوں بن سنور کے سامنے آنا

ہمارے دل کو چھوڑو، إٓینے پہ کیا گٌزرتی ہو گی

qiyamat hai tera youn ban sanwar kay samnay aana

hamary dil ko chorro aainay pay kiya guzarti ko gi

کیا حٌسن تھا کہ آنکھ سے دیکھا ہزار بار

پھر بھی نظر کو حسرتِ دیدار رہ گئی

kiya husn tha ke ankh say dekha hazar bar

phir bhi nazar ko hasat e dedar rah gai

کِس لیۓ دیکھتی ہو آئینہ

تٌم تو خود سے بھی خوبصورت ہو

kis liye dekhti ho aaina

tum tu khud say bhi khubsurat ho

husn ki tareef urdu poetry images

read more

thanx for free images download

https://www.ecopetit.cat/

https://unsplash.com/

2 thoughts on “husn ki tareef poetry urdu- best 25 shayari”

  1. عرض ہے
    حسن کو چاند جوانی کو کنول کہتے ہیں
    ان کی صورت نظر آے تو غزل کہتے ہیں

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge

Scroll to Top