dard poetry in urdu – dard shayari in urdu


read dard poetry in urdu and dard shayari in urdu. Dard is an Urdu word that means pain in English. But in Urdu it has very different meanings like hurt. When ashiq(lover) failed to achieve mashoq(beloved) then that person feels “hurt”. In this blog, you can read dard bhari poetry in urdu.

شدّتِ درد میں کمی نہ آئی ذرا بھی

درد ، درد ہی رہا، اُلٹا بھی لِکھا سیدھا بھی

shidat-e-dard main kami na aai zara bhi

dard dard hi raha ulta bhi likha seedha bhi

keh dard main tanhai nahi hoti, tanhai main dard hota hai
keh dard main tanhai nahi hoti, tanhai main dard hota hai

عشق کے نشے میں ڈوبے تو یہ جانا ہم نے

کہ درد میں تنہائی نہیں ہوتی، تنہائی میں درد ہوتا ہے

ishq kay nashay main dobay tu yeh jana haam nay

keh dard main tanhai nahi hoti, tanhai main dard hota hai

hamary bakht main likha huwa sahulat say
hamary bakht main likha huwa sahulat say

ہمارے بخت میں لکھا ہوا سہولت سے

بس ایک درد تھا جو ہر طرح میسر تھا

hamary bakht main likha huwa sahulat say

bas aik dard tha jo har tarah muyassar tha

sau bar kaha dil say chal bhool bhi ja us ko
sau bar kaha dil say chal bhool bhi ja us ko

سو بار کہا دِل سے چَل بھول بھی جا اٌس کو

ہر بار کہا دِل نے، تم دِل سے نہیں کہتے

sau bar kaha dil say chal bhool bhi ja us ko

har baar kaha dil nay, tum dil say nahi kehtay

dard poetry in urdu

میرے درد سے آخر تیرا رشتہ کیا ہے

دل جب بھی روتا ہے تم یاد آتے ہو

mery dard say aakhir tera rishta kiya hai

dil jab bhi rota hai tum yaad aaty ho

کیا پوچھتے ہو مٌجھ سے درد کہاں ہوتا ہے

ایک جگہ ہو تو بتاٶں یہاں ہوتا ہے

kiya puchtay ho mujh say dard kahan hota hai

aik jaga ho tu bataon yahan hota hai

غزل میں صرف درد ہی رکھا نہیں خٌدا کی قسم

خوشی بھی اتنی رکھی ہے کہ آنکھ بھر آئے

ghazal main sirf dard hi rakha nahi khuda ki kasam

khushi bhi itni rakhi hai keh ankh bher aaye

درّد شِدّت کا ہو اور ہمدرد نہ ہو

ایسے تلخ ایام بھی زندگی میں آتے ہیں

dard shiddat ka ho aur hamdard na ho

aisy talkh ayyam bhi zindagi main aaty hain

درّد کی بات مت کرو صاحب

جِس نے بھی دِیا بے مثال دیا

dard ki baat maat karo sahib

jis nay bhi diya bay misal diya

درد میں اور بھی اضافہ کرتا ہے

تیرے ہوتے ہُوے کِسی اور کا دِلاسہ مجھ کو

dard main aur bhi azafa karta hai

tery hotay huwy kisi aur ka dilassa mujh ko

تٌم نے کب دیکھے ہیں وہ لمحے جو گٌزرتے ہی نہیں

درد کی رات کِسے کہتے ہیں تٌمھیں کیا معلوم

tum nay kab dekhy hain vo lamhy jo guzarty hi nahi

dard ki raat kisy kehty hain tumhain kiya maloom

شٌکر ہے جو درد ہم سہتے ہیں وہ لکھتے نہیں

ورنہ کاغذ پہ لفظوں کے جنازے اٌٹھتے

read more

thanx for free image download

https://unsplash.com/

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge

Scroll to Top