love poetrypoetryشاعری

phool shayari in urdu – flower poetry in urdu

read phool shayari in urdu or flower poetry in urdu. khushboo/fragrance and phool/flower are compulsory to each other. In urdu poetry, flowers are not only discussed by its fragrance but also viewed from different angles. Some poets exaggerate on this. In fact, they liken their loved one to flowers. In this blog, you can read poetry on flowers with simile and beautiful angles.

آج بھی شاید کوئی پھُولوں کا تحفہ بھیج دے

تتلیاں مَنڈلا رہی ہیں کانچ کے گُلدان پر

aaj bhi shayad koi phoolon ka tuhfa bhej day

titliyan mandla rahi haan kanch kay guldan par

phool hi phool yaad aatay hain

پھول ہی پھول یاد آتے ہیں

آپ جب جب بھی مُسکراتے ہیں

phool hi phool yaad aatay hain

aap jab jab bhi muskuratay haan

hay phool sirf wo, jo sar-e-zulf e yaar ho - phool shayari in urdu
hay phool sirf wo, jo sar-e-zulf e yaar ho – phool shayari in urdu

کِتنے عروج پَر بھی ہو موسم بہار کا

ہے پھول صِرف وہ ، جو سَرِزُلفِ یار ہو

kitnay aroj par bhi ho mausam bahar ka

hay phool sirf wo, jo sar-e-zulf e yaar ho

phoolon ko kuch ajeeb muhabbat hawa say hai
phoolon ko kuch ajeeb muhabbat hawa say hai

پت جھڑ سے گلہ ہے نہ شکایت ہوا سے ہے

پھولوں کو کُچھ عجیب مُحبت ہوا سے ہے

paat jharr say na gila hai na shikayat hawa say hai

phoolon ko kuch ajeeb muhabbat hawa say hai

aye phool meray phool ko yeh phool day dena
aye phool meray phool ko yeh phool day dena

اے پھول ، میرے پھول کو ، یہ پھول دے دینا

کہنا کہ تیرے پھول نے یہ پھول دِیا ہے

aye phool meray phool ko yeh phool day dena

kehna keh teray phool nay yeh phool diya hai

phool poetry in urdu

us nay jab phool ko chuwa ho ga
us nay jab phool ko chuwa ho ga

اس نے جب پھول کو چھوا ہو گا

ہوش خُوشبو کے اُڑ گئے ہوں گے

us nay jab phool ko chuwa ho ga

hosh khushboo kay urr gaye hoon gaiy

tu nay jab phool kitabon say nikaly hon gaiy
tu nay jab phool kitabon say nikaly hon gaiy

تو نے جب پھول کتابوں سے نکالے ہوں گے

دینے والا تٌجھے یاد تو آیا ہوگا

tu nay jab phool kitabon say nikaly hon gaiy

deny wala tujhy yaad tu aya ho ga

ik phool hai gulab ka aaj un k hath main
ik phool hai gulab ka aaj un k hath main

اِک پھول ہے گٌلاب کا آج اٌن کے ہاتھ میں

دھڑکا مٌجھے یہ ہے کہ کِسی کا جگر نہ ہو

ik phool hai gulab ka aaj un k hath main

dharrka mujhy ye hai keh kisi ka jigar na ho

kiya nazakat hai jo torra shakh e gul say koi phool
kiya nazakat hai jo torra shakh e gul say koi phool

کیا نزاکت ہے جو توڑا شاخِ گٌل سے کوٸ پھول

آتشِ گٌل سے پڑے چھالے پھر اٌس کے ہاتھ میں

kiya nazakat hai jo torra shakh e gul say koi phool

aatish e gul say parry challay phir us kay hath main

پھولوں کی جستجو میں کانٹوں سے زخم کھاۓ

اک مہ جبیں کو دیکھ کے کیاکیا سِتم اٌٹھاۓ

phoolon ki justaju main kanton say zakhm khaye

ik meh jabeen ko dekh kay kiyakiya sitam uthaye

ہم اٌن کو شاعری سٌناتے ہیں خواب میں

صٌبح وہ پھول بھیج دیتے ہیں جواب میں

ham un ko shayari sunaty hain khwab main

subah wo phool bhej dety hain jawab main

gajray poetry in urdu

مہک اٌٹھا ہے سارا شہر گٌلاب کی خوشبو سے

لگتا ہے آج پھر سجے ہیں گجرے اٌسکے ہاتھوں میں

mehk utha hai sara shehr gulab ki khushboo say

lagta hai aaj phir sajay hain gajray usky hathon main

ان کی باتوں سے پھول جھڑتے ہیں

میں نے دیکھا ہے گٌفتگو کر کے

un ki baaton say phool jharrtay hain

main nay dekha hai guftgu kar ky

پھول اچھے ہیں سبھی لیکن پھر بھی

تٌم جو ہنستے ہو کمال کرتے ہو

phool achay hain sabhi lekin phir bhi

tum jo hanstay ho kamal kartay ho

ہم سے توڑے نہیں جاتے پھولوں کے دِل

ہم مٌسکراتے ہیں تو پھول کھِل اٌٹھتے ہیں

read more

thanx for free image download

https://www.freepik.com/

One thought on “phool shayari in urdu – flower poetry in urdu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge