tanhai poetry in urdu – alone poetry in urdu

read tanhai poetry in urdu. loneliness poetry in urdu

کیوں چلتے چلتے رُک گئے ویران راستو

تنہا ہوں آج میں ، ذرا گھر تک تو ساتھ دو

kiyun chaltay chaltay ruk gaye veran rastu

tanha hoon aaj main, zara ghar tak tu sath do

daar say bichrra hua tanha parinda dekh kar
daar say bichrra hua tanha parinda dekh kar


ڈار سے بچھڑا ہوا تنہا پرندہ دیکھ کر

بوجھ دل کا لگ رہا ہے کس قدر ہلکا مجھے

daar say bichrra hua tanha parinda dekh kar

bojh dil ka lag raha ha kis qadar halka mujhe

aaj tanha hoon tu koi nahi aanay wala
aaj tanha hoon tu koi nahi aanay wala

تیرے ہوتے ہوئے آجاتی تھی ساری دنیا

آج تنہا ہوں توکوئی نہیں آنے والا

teray hotay huway aa jati thi sari duniya

aaj tanha hoon tu koi nahi aanay wala

tanhai ki yeh kon si manzil hay rafeeqo
tanhai ki yeh kon si manzil hay rafeeqo

تنہائی کی یہ کون سی منزل ہے رفیقو

تا حد نظر ایک بیابان سا کیوں ہے

tanhai ki yeh kon si manzil hay rafeeqo

ta-had e nazar aik biyaban sa kiyun hai

tanha reh jatay haan zindagi main aksar aisay log
tanha reh jatay haan zindagi main aksar aisay log

جو خیال رکھتے ہیں سب کی خوشی کا ہر وقت

تنہا رہ جاتے ہیں زندگی میں اکثر ایسے لوگ

jo khyal rakhtay haan sab ki khushi ka har waqt

tanha reh jatay haan zindagi main aksar aisay log

phir wahi raat ka aalam hai aur main tanha tanha - tanhai poetry in urdu
phir wahi raat ka aalam hai aur main tanha tanha – tanhai poetry in urdu

پھر مقدر کی لکیروں میں لکھ دیا انتظار

پھر وہی رات کا عالم ہے اور میں تنہا تنہا

phir muqadar ki lakeeron main likh diya intazar

phir wahi raat ka aalam hai aur main tanha tanha

tanhai poetry in urdu

tanha khamosh raat, aur guftagu ki aarzo
tanha khamosh raat, aur guftagu ki aarzo

تنہا خاموش رات ، اور ــگُفتگو کی آرزو

کِس سے کریں بات ، کوئی سُنتا ہی نہیں

tanha khamosh raat, aur guftagu ki aarzo

kis say karain baat, koi sunta hi nahi

din buray hoon tu phir ehbab kahan aatay hain
din buray hoon tu phir ehbab kahan aatay hain

تنہا رہتا ہوں میں دِن بھر بھری دُنیا میں قتیلؔ

دِن بُرے ہوں تو پھر احباب کہاں آتے ہیں

tanha rehta hoon main din bhar bhari duniya main qateel

din buray hoon tu phir ehbab kahan aatay hain

tanhaiyan tumhara pata puchti rahin
tanhaiyan tumhara pata puchti rahin

تنہائیاں تمھارا پتہ پوچھتی رہیں

شب بھر تمھاری یاد نے سونے نہیں دِیا

tanhaiyan tumhara pata puchti rahin

shab bhar tumhari yaad nay sony nahi diya

خود غرض ہوتا توہجوم ہوتا ساتھ

مُخلص ہوں اِس لئے تو تنہا ہوں

khud gharz hota tu hajoom hota sath

mukhlis hoon iss liye tu tanha hoon

اٌسے کہنا ہم اَزل سے اکیلے رہتے ہیں

تم نے چھوڑ کر کوٸ کمال نہیں کیا۔

usay kehna ham azal say akely rehty hain

tum nay chorr kar koi kamal nahi kiya

میرے نظریات مٌجھے تنہا کرتے ہیں

مٌنافق ہو جاٶں تو ابھی بھیڑ لگ جاۓ

mery nazriyat mujhy tanha karty hain

munafiq ho jaon tu abhi bheer lag jaye

تنہائی شاعری

اٌسی راہ پہ کل مٌجھ کو دیکھ کر تنہا

بہت اٌداس ہٌوا پھول بیچنے والا

ussi rah pay kal mujh ko dekh kar tanha

buhat udas huwa phool bechny wala

تٌم زندہ ہمیں چھوڑ کے گھر جإئیو نہ شب کو

مٌردے کو بھی اِنساں کبھی تنہا نہیں رکھتے

tum zinda hamain chorr kay ghar jayo na shab ko

murday ko bhi insan kabhi tanha nahi rakhty

عٌمر تنہا گٌزار ڈالی

کوٸ آنے کا وعدہ کر گیا تھا

umer tanha guzar dali

koi aanay ka wada kar giya tha

راس آ جاتی ہیں تنہإیاں بھی

بس اِک دو روز بٌرا لگتا ہے

raas aa jati hain tanhaiyan

bas ik do roz bura lagta hai

بچھڑ کر راہِ عِشق میں اِس قدر ہُوئے تنہا

تھکے تنہا، گِرے تنہا، اُٹھے تنہا، چلے تنہا

bicharr kar rah e ishq main iss qadar huwy tanha

thakay tanha, giry tanha, uthay tanha, chally tanha

تھک جاٶ اگر دٌنیا کی محفلوں سے صاحب

ہمیں آواز دے دینا کہ ہم اکثر اکیلے رہتے ہیں

thak jao agar duniya ki mehfilon say sahib

hamain awaz day dena keh ham aksar akely rehtay hain

مٌجھ سے کہتی تھی قبر میں ساتھ جاٶں گی

کِتنی مٌحبّت کرتی تھی مٌجھ سے تنہاٸ

mujh say kehti thi qabar main sath jaon gi

kitni muhabbat karti thi mujh say tanhai

میرے پاس نہ بیٹھو صاحب

میری تنہائی خفا ہوتی ہے

read more

thanx for free image download

https://unsplash.com/

2 thoughts on “tanhai poetry in urdu – alone poetry in urdu”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge

Scroll to Top