Khamoshi Poetry in Urdu – Best 16 Sher

Khamoshi Urdu shayari mein dard, sabr aur na-kahi baaton ki zuban hai. Neeche khamoshi par 16 behtareen sher Urdu aur Roman mein diye gaye hain.

اِک تیری خاموشی مار دیتی ہے مُجھے

باقی سب انداز اچھے ہیں تیری تصویر کے

ik teri khamoshi marr deti hai mujhay

baqi sab andaz achay hain teri tasweer kay

khamoshi poetry in urdu

وہ میری خاموشی نہیں سُنتا

مُجھ سے آواز نہیں دی جاتی

wo meri khamoshi nahi sunta

mujh say awaz nahi dii jati

khamoshi poetry in urdu

مجھے اِنکار کر دے مگر کچھ گُفتگو تو کر

تیرا خاموش سا رہنا مجھے تکلیف دیتا ہے

mujhay inkar kar day magar, kuch guftagu tu kar

tera khamosh sa rehna mujhay takleef deta hai

khamoshi poetry in urdu

خاموش زندگی جو بسر کر رہے ہیں ہم 

گہرے سمندروں میں سفر کر رہے ہیں ہم

khamosh zindagi jo basar kar rahay hain ham

gehray samundaron main safar kar rahy hain ham

خاموشی سے جب بھر جائوگے

تھوڑا سا چیخ لو وررنہ مَر جائو گے

Khamoshi say jab Bhar jao gaiy

Thorra sa chekh lo warna mar jao gaiy

Khamoshi Poetry in Urdu

خاموشی اِتنی گہری ہونی چاہیے کہ

بے قدری کرنے والے کی چیخیں نِکلیں۔

khamoshi itni gehri honi chahiyay keh

be-qadri karnay walay ki chekhain niklain

آوازیں تھک جاتی ہیں

خاموشی تازہ دم رہتی ہے

awazain thak jati hain

khamoshi taza daam rehti hai.

ناراض اِنسان کو منایا جا سکتا ہے

خاموش اِنسان کو نہیں

naraz insan ko manaya ja sakta hai

khamosh insan ko nahi.

خاموشی سے قریب آکر، بانہوں میں بھر لینا

مٌحبّت کرنے والوں کا، عجب انداز ہوتا ہے

khamoshi say qareeb aa kar, banhon main bhar lena

muhabbat karny walon ka ajab andaz hota hai


Khamoshi Quotes in Urdu


بے وجہ خاموش نہیں ہوں میں

کٌچھ تو برداشت کیا ہو گا میں نے

bay waja khamosh nahi hoon main

kuch tu bardasht kiya ho ga main nay

تٌجھ پر الفاظ نہیں واریں گے

اَب تٌجھے خاموشی سے ماریں گے

tujh par alfaz nahi warain gaiy

aab tujhy khamoshi say marain gaiy

میں نے سمندر سے سیکھا ہے جینے کا سلیقہ

چٌپ چاپ سے بہنا، اور اپنی موج میں رہنا

main nay samunder say seekha hai jeenay ka saleeka

chup chaap say behna aur apni mauj main rehna

لوگ شور سے اٌٹھ جاتے ہیں

مٌجھے تیری خاموشی سونے نہیں دیتی

log shore say uth jaaty hain

mujhy teri khamoshi sonay nahi deti

کِتنی لمبی خاموشی سے گُزرا ہوں

ان سے کِتنا کُچھ کہنے کی کوشش کی

kitni lambi khamoshi say guzra hun

inn say kitna kuch kehnay ki koshish ki

کِتابوں کی طرح بہت سے الفاظ ہیں مٌجھ میں

اور کِتابوں کی طرح بہت خاموش ہوں میں

Kitabon ki Tarah buhat say alfaz Hain mujhy main

Aur kitabon ki Tarah buhat khamoshi Hoon main

کہہ رہا ہے شورِ دریا سے سمندر کا سکوت

جس کا جتنا ظرف ہے اتنا ہی وہ خاموش ہے

Kah raha hai shor-e-dariya se samundar ka sukut

Jis ka jitna zarf hai utna hi wo khamosh hai

FAQs

Khamoshi poetry kya hai?

Khamoshi poetry Urdu shayari ka woh hissa hai jismein shayar chup, sakut aur na-kahi baaton ke jazbaat ko bayaan karta hai — kabhi dard, kabhi sabr aur kabhi mohabbat ke roop mein.

Is post mein kitne sher hain?

Is post mein khamoshi par 16 behtareen sher Urdu aur Roman mein diye gaye hain.

Khamoshi par sab se mashhoor sher kaun sa hai?

Jaun Elia ka sher “Mustaqil bolta hi rahta hun / Kitna khamosh hun main andar se” khamoshi par sab se mashhoor sheron mein se ek hai.

Also read: sad poetry in urdu

romantic poetry in urdu

Read more: khamoshi poetry in urdu

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top