love poetryRomantic Poetryشاعری

khushboo poetry in urdu best 20 sher

read khushboo poetry in urdu and khushboo shayari in urdu.

تجھ کو سوچا تو ہر سوچ میں خُوشبو اُتری

تجھ کو لِکھا تو ہر لفظ کو مہکتے دیکھا

tujh ko socha tu har soch main khushboo utri

tujh ko likha tu har lafz ko mehkatay dekha

hai intazar issay bhi tumhari khushboo ka - khushboo poetry in urdu
hai intazar issay bhi tumhari khushboo ka – khushboo poetry in urdu

ہے اِ نتظار اِسے بھی تمھاری خُو شبو کا

ہَوا گلی میں بہت دیر سے رُکی ہُوئی ہے

hai intazar issay bhi tumhari khushboo ka

hawa gali main buhat dair say ruki hui hai

kuch aisay bhi hain tahi dast o bay nawa jin say
kuch aisay bhi hain tahi dast o bay nawa jin say

کچھ ایسے بھی ہیں تہی دست و بے نوا جن سے

ملائیں ہاتھ تو خوشبو نہ ہاتھ کی جائے

kuch aisay bhi hain tahi dast o bay nawa jin say

milain hath tu khushboo na hath ki jaye

teray wajood ko chuoo loon tu phir mukamal hoon
teray wajood ko chuoo loon tu phir mukamal hoon

تیرے وجود کو چھو لوں تو پھر مکمل ہوں

بھٹک رہی ہے خوشبو کب سے دربدرمجھ میں

teray wajood ko chuoo loon tu phir mukamal hoon

bhatak rahi hai khushboo kab say dar-b-dar mujh main

suna hai jin ki batain misal e khuhshboo phail jati hain
suna hai jin ki batain misal e khuhshboo phail jati hain

سُنا ہے جِن کی باتیں مِثلِ خوشبو پھیل جاتی ہیں

بہت بِکھرے ہوئے ہوتے ہیں ایسے لوگ اندر سے

suna hai jin ki batain misal e khuhshboo phail jati hain

buhat bikhray huway hotay hain aisay log andar say

mauj e khushboo ki tarah baat urranay waly
mauj e khushboo ki tarah baat urranay waly

موجِ خوشبو کی طرح بات اُڑانے والے

تجھ میں پہلے تو نہ تھے رنگ زمانے والے

mauj e khushboo ki tarah baat urranay waly

tujh main pehlay tu na thay rang zamanay walay

mila hai ye sila shayad hamain kanton pay chalnay ka
mila hai ye sila shayad hamain kanton pay chalnay ka

khushboo poetry in urdu

مِلا ہے یہ صِلہ شاید ہمیں کانٹوں پہ چلنے کا

کہ ہر خوشبو ہمیں سے اپنا شجرہ پوچھنے آئی

mila hai ye sila shayad hamain kanton pay chalnay ka

keh har khushboo hamin say apna shajra puchanay aai

khushboo kay jazeeron say sitaroon  ki haddon tak
khushboo kay jazeeron say sitaroon ki haddon tak

خوشبو کے جزیروں سے ستاروں کی حدوں تک

اِس شہر میں سب کُچھ ہے ، فقط تیری کمی ہے

khushboo kay jazeeron say sitaroon ki haddon tak

iss shehr main sab kuch hai , faqt teri kami hai

khushboo hai wahi, wahi hai nazakat wahi hai rang
khushboo hai wahi, wahi hai nazakat wahi hai rang

خوشبو ہے وہی ، وہی ہے نزاکت، وہی ہے رنگ

معشوق کیا ہے، پھول ہے وہ بھی گُلاب کا

khushboo hai wahi, wahi hai nazakat wahi hai rang

mashooq kiya hai phool hai wo bhi gulab ka

wo keh khushboo ki tarah phella hai mery char su
wo keh khushboo ki tarah phella hai mery char su

وہ کہ خوشبو کی طرح پھیلا ہے میرے چار سٌو

میں اٌسے محسوس کر سکتا ہوں چھو سکتا نہیں

wo keh khushboo ki tarah phella hai mery char su

main usay mehsos kar sakta hoon chu sakta nahi

تیری خوشبو کا پتہ کرتی ہے

مٌجھ پہ احسان ہَوا کرتی ہے

teri khushboo ka pata karti hai

mujh pay ehsan hawa karti hai

کٌچھ لوگ میری دٌنیا میں خوشبو کی طرح ہیں

محسوس تو ہوتے ہیں دکھاٸ نہیں دیتے

kuch log meri duniya main khushboo ki tarah hain

mehsos tu hoty hain dikhai nahi dety

چلی ہے تھام کے بادل کے ہاتھ کو خوشبو

ہوا کے ساتھ سفر کا مٌقابلہ ٹھہرا

chali hai tham kay badal kay hath ko khushboo

hawa kay sath safar ka muqabla thehra

دستک میں کوئی درد کی خوشبو ضرور تھی

دروازہ کھولنے کو گھر کا گھر اُٹھا

dastak main koi dard ki khushbu zarur thi

darvaza kholny ko ghar ka ghar utha

میں سمجھتا تھا کہ محبت کی زٌباں خوشبو ہے

پھول سے لوگ اسے خوب سمجھتے ہوں گے

main samajhta tha ke muhabbat ki zuban khushbu hai

phool say loog issay khub samajhtay hoon gaiy

read more

thanx for free image download

https://all-free-download.com/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge