read emotional poetry in urdu and best emotional images with poetry.

jaltay rahay teri mehfil main
yeh patangay bhi shamah bhi haam bhi
piyas aisi keh pii jaon samundar saray
naseeb aisa keh muyasar zehar bhi nahi
jo log rafaqat main dagha detay hain
kam zarf hain naslon ka pata detay hain
tarsa diya hai abar e garezain nay iss qadar
barsay jo bund bhi tu samundar lagay mujhay
sahara jab nahi hota bazurgon ka tu bacha bhi
shikam ki bhook ki khatir parrhai chor deta hai
emotional poetry in urdu
wo sab masoom say chehry talash-e-rizq main gum hain
jinhain titli pakarrna thi, jinhain baghon main hona tha
doby huwon ko ham nay bithaya tha aur phir
kashti ka bojh keh kar utara giya hamain
zindagi resham o kamkhwab nahi aye dost
tujh ko jeena hai tu pathar ka jigar paida kar
khat jo likha insaniyat kay naam
dakiya hi marr giya pata pochaty pochaty
ye dhop ki sazish hai ke mausam ki shararat
saye hain wahan kam jahan ashjar buhat hain
itna tu kisi nay chaha nahi ho ga
jitna main nay socha hai
youn tu har shakhs buhat ehtram say mila
magar jo bhi milla apnay kaam hi say milla
hum pehly narm patton ki ik shakh thay magar
katay gaye hain itnay ke talwar ho gaye
تاریخ ہزاروں سال میں بس اِتنی سی بدلی ہے
تَب دور تھا پتھر کا اب لوگ ہیں پتھر کے
tarikh hzaron saal main bas itni si badli hai
tab daur tha pathar ka ab log hain pather kay
thanx for free image download











