read ehsan danish poetry in urdu

log youn dekh ky hans dety hain
tu mujhy bhool giya ho jesy
wafa ka ehd tha dil ko sanbhalny ky liye
vo hans parry mujhy mushkil main dalnay kayliye
ye urri urri si rangat ye khuly khuly say gasu
teri subh keh rahi hai teri raat ka fasana
aaj us nay hans kay youn pucha mizaj
umer bhar kay ranj o gham yaad aa gaye
Bala say Kuch ho hum ehsan apni khu na chorrain gaiy
Hamesha bewafaon say millain gaiy bawafa ho kar
ehsan danish poetry in urdu
zabt bhi sabr bhi amkan main sab kuch hai magar
pehly kambakht mera dil tu mera dil ho jaye
jee tu chahta hay kabhi aag laga kar dil ko
khud kahin dur kharra ho kay tamasha dekhon
kis kis ki zuban roknay jaon teri khatir
kis kis ki tabahi main tera hath nahi hai
ahsan apna koi bury waqt ka nahi
ehbab baywafa gain khuda bayniaz hai
ye tu nahi ke tum say muhabbat nahi mujhay
itna zarur hai keh shikayat nahi mujhay