ankhain poetrypoetryشاعری

ankhain poetry on eyes in urdu best 25 sher

read ankhain poetry on eyes in urdu and aankhen shayari in urdu. khubsurat aankhen poetry in urdu. poetry about eyes in urdu. Human eyes are part of body. We can see with eyes, but in poetic point of view it is very different. In urdu poetry poets simile it in very amazing way. read eyes poetry in urdu.

میرؔ ان نیم باز آنکھوں میں 

ساری مستی شراب کی سی ہے 

mēēr ɨņņ ņēēm bāz āāņkhōņ māɨņ

sārɨ māsṯɨ shārāb kɨ sɨ hāy

qiyamat kaiz haan aakhain tumhari - ankhain poetry in urdu - besturdupoetry.pk
qiyamat kaiz haan aakhain tumhari – ankhain poetry in urdu – besturdupoetry.pk

قیامت خیز ہیں آنکھیں تمھاری

تم آخر خواب کس کے دیکھتے ہو

qɨyāmāṯ khēz hāņ āāņkhāɨņ ṯumhārɨ

ṯum āākhɨr khwāb kɨs kāy dēkhṯy hō

ankhain bekar hi na ho jain kahin - khubsurat aankhen poetry in urdu
ankhain bekar hi na ho jain kahin – khubsurat aankhen poetry in urdu

اُسے دیکھا نہیں ہے کئی دِنوں سے

آنکھیں بیکار ہی نہ ہو جائیں کہیں

usay dekha nahi hai kai dinoon say

ankhain bekar hi na ho jain kahin

aisi tareekiyan ankhon main - ankhen poetry in urdu - besturdupoetry
aisi tareekiyan ankhon main – ankhen poetry in urdu – besturdupoetry

ایسی تاریکیاں آنکھوں میں بسی ہیں فراز

رات تو رات ہےہم دِن کو جلاتے ہیں چراغ

āɨsɨ ṯārēēkɨyāņ āāņkhōņ māɨņ bāsɨ hāāņ fārāz

rāāṯ ṯu rāāṯ hāy hām dɨņ kō jālāṯy hāāņ chārāgh

jigar ho jaye ga chalni
jigar ho jaye ga chalni

جگر ہو جائے گا چھلنی یہ آنکھیں خون روئیں گی

وصی بے فیض لوگوں سے نبھاکر کچھ نہیں ملتا

jɨgār hō jāyē gā chālņɨ yē āāņkhāɨņ khōņ rōāɨņ gɨ

wāsɨ bāy fāɨz lōgōņ sāy ņɨbhā kār kuch ņāhɨ mɨlṯā

ankhain poetry in urdu

teri ankhon ko parrta hoon tu
teri ankhon ko parrta hoon tu


سمندر میں اترتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

تری آنکھوں کو پڑھتا ہوںتو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

Sāmuņdār Mēɨņ Uṯārṯā Hōņ Ṯu Āāņkhāɨņ Bhēg Jāṯɨ Hāɨņ

Ṯērɨ Āāņkhōņ Kō Pārhṯṯā Hōņ Ṯu Āāņkhēņ Bhēēg Jāṯɨ Hāɨņ

yahi tu hain lajawab aankhain - khubsurat aankhen poetry in urdu
yahi tu hain lajawab aankhain – khubsurat aankhen poetry in urdu

گُلاب آنکھیں ، شراب آنکھیں

یہی تو ہیں لاجواب آنکھیں

gulab aankhain, sharab aankhain

yahi tu hain lajawab aankhain

kabhi kabhi tu chalak parti haan youn hi aankhain
kabhi kabhi tu chalak parti haan youn hi aankhain

کبھی کبھی تو چھلک پڑتی ہیں یوں ہی آنکھیں

اداس ہونے کا کوئی سبب نہیں ہوتا

kabhi kabhi tu chalak parti haan youn hi aankhain

udas honay ka koi sabab nahi hota

wo keh rahi thi samundar nahi haan aankhain haan
wo keh rahi thi samundar nahi haan aankhain haan – poetry about eyes in urdu

وہ کہہ رہی تھی سمندر نہیں ہیں آنکھیں ہیں

میں ان میں ڈوب گیا اعتبار کرتے ہوئے

wo keh rahi thi samundar nahi haan aankhain haan

main un main doobh giya aitbar kartay huway

per tun aankhain parrh kay ruk jana
per tun aankhain parrh kay ruk jana

لفظ اشارہ کریں گے جانے کا

پر تُم آنکھیں پڑھ کے رُک جانا

lafz ishara karain gaiy

per tun aankhain parrh kay ruk jana

آنکھیں شاعری

meri aankhon pay log mertay haan
meri aankhon pay log mertay haan

تیری صورت کو جب سے دیکھا ہے

میری آنکھوں پہ لوگ مرتے ہیں

teri surat ko jab say dekha hai

meri aankhon pay log mertay haan

barbad kiye jati haan har qalb o jigar ko
barbad kiye jati haan har qalb o jigar ko

برباد کِیے جاتی ہیں ہر قلب و جگر کو

کِس درجے کی ہیں دُنیا میں پاگل تیری آنکھیں

barbad kiye jati haan har qalb o jigar ko

kis darjay ki haan duniya main pagal teri aankhain

na janay kiya kashish hai uski madhosh aankhon main - ankhain poetry in urdu - besturdupoetry.pk
na janay kiya kashish hai uski madhosh aankhon main – ankhain poetry in urdu – besturdupoetry.pk

نہ جانے کِیا کشش ہے اُسکی مدہوش آنکھوں میں

نظر انداز جِتنا بھی کروں ، نظر اُس پر ہی جاتی ہے

na janay kiya kashish hai uski madhosh aankhon main

nazar andaz jitna bhi karon, nazar us per hi jati hai

kiya meri ankhain tumhain kuch nahi kehtin
kiya meri ankhain tumhain kuch nahi kehtin

ضروری تو نہیں مُحبت لفظوں میں ہو بیاں

کِیا میری آنکھیں تُمھیں کُچھ نہیں کہتیں

zarori tu nahi muhabbat lafazon main ho biyan

kiya meri ankhain tumhain kuch nahi kehtin

us ki nigah main koi jado zarror tha - ankhain poetry in urdu - besturdupoetry.pk
us ki nigah main koi jado zarror tha – ankhain poetry in urdu – besturdupoetry.pk

اُس کی نگاہ میں کوئی جادو ضرور تھا

جس پر بھی پڑی اُس کے جگر میں اُتر گئی

us ki nigah main koi jado zarror tha

jis par bhi parri us kay jigar main utar gai

eyes poetry in urdu

nigah e yaar say barh kar koi dawa nahi - ankhain poetry in urdu - besturdupoetry.pk
nigah e yaar say barh kar koi dawa nahi – ankhain poetry in urdu – besturdupoetry.pk

ہزاروں نسخے بناو مگر شفا کےلئے

نِگاہِ یار سے بڑھ کر کوئی دوا نہیں

hazaron nuskhay banao magar shifa kay liye

nigah e yaar say barh kar koi dawa nahi

khubsurat aankhen poetry in urdu
khubsurat aankhen poetry in urdu

ہم فنا ہو گئے اُن کی آنکھیں دیکھ کر

نہ جانے آئنہ کیسے دیکھتے ہوں گے

hamm fana ho gaye un ki aankhain dekh kar

na janay aaina kesay dekhtay hoon gaiy

utri hai kehkishan teri aankhon ki khair ho - ankhain poetry in urdu
utri hai kehkishan teri aankhon ki khair ho – ankhain poetry in urdu

مُدّت کے بعد آج فقیروں کے جام میں

اُتری ہے کہکشاں تیری آنکھوں کی، خیر ہو

muddat kay baad aaj faqeeron kay jaam main

utri hai kehkishan teri aankhon ki khair ho

jo inn masoom aankhon nay diye thay
jo inn masoom aankhon nay diye thay

جو اِن معصوم آنکھوں نے دئیے تھے

وہ دھوکے آج تک میں کھا رہا ہوں

jo inn masoom aankhon nay diye thay

wo dhokay aaj tak main kha raha hoon

tum neem isharay pay tu aankhain na nikalo
tum neem isharay pay tu aankhain na nikalo

تُم نیم اِشارے پہ تو آنکھیں نہ نکالو

اِک آدھ خطا کِیا، جو خطا کار سے ہو

tum neem isharay pay tu aankhain na nikalo

ik aadh khata kiya jo khatakar say ho

aankhen poetry in urdu sms

wo ghazab ka khumar liye phirtay hain aankhon main - aankhen poetry in urdu
wo ghazab ka khumar liye phirtay hain aankhon main – aankhen poetry in urdu

وہ غضب کا خمار لئے پھرتے ہیں آنکھوں میں

جوبھی نظریں مِلائے گا ، مارا جائے گا

wo ghazab ka khumar liye phirtay hain aankhon main

jo bhi nazarain milaye ga, mara jaye ga

log ankhon main doob jaty hain - aankhen poetry in urdu
log ankhon main doob jaty hain – aankhen poetry in urdu

تُم سمندر کی بات کرتے ہو

لوگ آنکھوں میں ڈوب جاتے ہیں

tum samunder ki baat karty ho

log ankhon main doob jaty hain

jo ulajhti hain atakti hain tumhari aankhain
jo ulajhti hain atakti hain tumhari aankhain

آپ کے سر کی قسم زلف میں وہ بات کہاں

جو الجھتی ہیں ، اٹکتی ہیں تمھاری آنکھیں

aap kay sir ki kasam zulf main wo baat kahan

jo ulajhti hain atakti hain tumhari aankhain

main nay aankhon main jhankna chaha
main nay aankhon main jhankna chaha

میں نے آنکھوں میں جھانکنا چاہا

اس نے دل میں اتار دی آنکھیں

main nay aankhon main jhankna chaha

us nay dil main utaar di aankain

تٌم کو بسا کر آنکھوں میں ، بند کر لوں اپنی آنکھیں

نہ میں کِسی کو دیکھوں، نہ تٌم کِسی کو نظر آٶ

tum ko basa kar ankhon main band kar loon apni ankhain

na main kisi ko dekhon, na tum kisi ko nazar aao

meri aankhain mujhy lauta kay tujhy dekh tu loon
meri aankhain mujhy lauta kay tujhy dekh tu loon

میری آنکھیں مجھے لَوٹا کہ تجھے دیکھ تو لوں

اے بصارت کے چراغوں کو بٌجھانے والے

meri aankhain mujhy lauta kay tujhy dekh tu loon

aye basarat kay charaghon ko bujhanay walay

poetry about eyes in urdu

kon hai jis nay maey nahi pii
kon hai jis nay maey nahi pii

کون ہے جس نے مے نہیں پی

کون جھوٹی قسم اٌٹھاتا ہے

مے کدے سے جو بچ نکلتا ہے

تیری آنکھوں میں ڈوب جاتا ہے

kon hai jis nay maey nahi pii

kon jhoti qasam uthata hai

mae kady say jo bach nikalta hai

teri aankhon main doob jata hai

tum ko basa kar aankhon main band kar loon apni aankhain
tum ko basa kar aankhon main band kar loon apni aankhain

تٌم کو بسا کر آنکھوں میں ، بند کر لوں اپنی آنکھیں

نہ میں کِسی کو دیکھوں، نہ تٌم کِسی کو نظر آٶ

tum ko basa kar aankhon main band kar loon apni aankhain

na main kisi ko dekhon na tum kisi ko nazar aao

نہیں ثانی ہٌوا عالم میں اَب اَے خوش نظر تیرا
نہیں ثانی ہٌوا عالم میں اَب اَے خوش نظر تیرا

نہیں ثانی ہٌوا عالم میں اَب اَے خوش نظر تیرا

اگرچہ ہم نے دیکھی ہیں جہاں میں بے شمار آنکھیں

nahi saani huwa aalam main aab aye khush nazar tera

agarchay ham nay dekhi hain jahan main beshumar aankhain

teri ankhon ki kashish kesay tujhay samjhaon
teri ankhon ki kashish kesay tujhay samjhaon

تیری آنکھوں کی کشش کیسے تٌجھے سمجھاٶں

اِن چراغوں نے میری نیند اٌڑا رکھی ہے

teri ankhon ki kashish kesay tujhay samjhaon

inn charaghon nay meri neend urra rakhi hai

حٌسن دیکھوں گا تیری آنکھوں کا

کچی نیندوں سے جگا کر تٌم کو

husn dekhon ga teri ankhon ka

kachi neendon say jaga kar tum ko

کٌچھ کہے بنا بولتی ہیں آنکھیں بھی

گٌفتگو کے سب لمحے حرف گر نہیں ہوتے

kuch kahy bina bolti hain aankhain bhi

guftgu kay sab lamhy harf gar nahi hotay

thanx for free image download

https://www.ecopetit.cat/

https://www.dreamstime.com/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge