neend poetry in urdu – neend shayari

read neend poetry in urdu, neend shayari in urdu.

نیند اور تم کہاں پہ رہتے ہو

دونوں کیوں رات بھر نہیں آتے

ņēēņd āur ṯum kāhāņ pāy rēhṯāy hō

dōņō kɨyuņ rāāṯ bhār ņāhɨ āāṯāy

na neend hai aankhon main, na koi hassrat
na neend hai aankhon main, na koi hassrat

نہ نیند ہے آنکھوں میں، نہ کوئی حسرت

کِتنا سادہ رہ گیا ہوں میں تیرے بغیر

na neend hai aankhon main, na koi hassrat

kitna sadda reh giya hoon main teray baghair

meri palkon ka ab neend say koi tuallaq nahi raha
meri palkon ka ab neend say koi tuallaq nahi raha

میری پلکوں کا اب نیند سے کوئی تعلق نہیں رہا

میرا کون ہے اس سوچ میں رات گُرز جاتی ہے

meri palkon ka ab neend say koi tuallaq nahi raha

mera kon hai iss soch main raat guzar jati hai

kiya meri neend bhi tumhari hai
kiya meri neend bhi tumhari hai

بِن تُمھارے کبھی نہیں آئی

کیا میری نیند بھی تُمھاری ہے

bin tumharay kabhi nahi aai

kiya meri neend bhi tumhari hai

hamain bhi neend aa jaye gi haam bhi so hi jain gaiy
hamain bhi neend aa jaye gi haam bhi so hi jain gaiy

ہمیں بھی نیند آجائے گی ہم بھی سو ہی جائیں گے

ابھی کُچھ بے قراری ہے ستارو تُم تو سو جاو

hamain bhi neend aa jaye gi haam bhi so hi jain gaiy

abhi kuch beqarari hai sitaro tum tu so jao

neend poetry in urdu

usay bataon gi kay neend achi aati hai
usay bataon gi kay neend achi aati hai

اُسے بتاوں گی نیند اچھی آتی ہے

نہیں بتاوں گی نیند کی دوائوں سے

usay bataon gi kay neend achi aati hai

nahi bataon gi kay neend ki dawaon saay

wo jisay neend kaha kartay hain sab, chain ki neend
wo jisay neend kaha kartay hain sab, chain ki neend

وہ جِسے نیند کہا کرتے ہیں سب، چین کی نیند

وہ تیرے بعد کبھی آنکھ میں اُتری ہی نہیں

wo jisay neend kaha kartay hain sab, chain ki neend

wo teray baad kabhi aankh main utri hi nahi

na neend hai ankhon main na hi koi hassrat
na neend hai ankhon main na hi koi hassrat

نہ نیند ہے آنکھوں میں ، نہ ہی کوئی حسّرت

کِتنا سادہ سا رہ گیا ہوں ، میں تیرے بغیر

na neend hai ankhon main na hi koi hassrat

kitna sada sa reh giya hoon main tery baghair

neend aai na raat bhar mujh ko
neend aai na raat bhar mujh ko

نیند آئی نہ رات بھر مجھ کو

خواب بیٹھے رہے قطاروں میں

neend aai na raat bhar mujh ko

khwab bethay rahay qitaron main

ankh lagti hi nahi, ankh larri hai jab say
ankh lagti hi nahi, ankh larri hai jab say

خیالِ یار میں نیندوں کا تصّور کیسا

آنکھ لگتی ہی نہیں ، آنکھ لڑی ہے جب سے

kiyal e yaar main neendon ka tassav-ver kesa

ankh lagti hi nahi, ankh larri hai jab say

neend nahi aati poetry

neend bhi nelam ho jati hai bazar e ishq main
neend bhi nelam ho jati hai bazar e ishq main

نیند بھی نیلام ہو جاتی ہے بازارِ عشق میں

اِتنا آسان نہیں ہوتا کِسی کو بھول کر سونا

neend bhi nelam ho jati hai bazar e ishq main

itna aasan nahi hota kisi ko bhol kar sona

کون دے سکے گا سکون آنکھوں کو

کس کو دیکھوں کہ نیند آجاۓ

kon day sakay ga sukun ankhon ko

kis ko dekhon key neend aa jaye

معمول بن چٌکا ہے اب راتوں کو جاگنا

نیندیں میرے وجود کی اِک شخص لے گیا

mamool ban chuka hai ab raton ko jagna

neendain mery wajod ki ik shakhs lay giya

روز جاگے ہٌوے ہی مِلتے ہو

کیا کوٸ نیند سے عداوت ہے

roz jaagy huwy hi miltay ho

kiya koi neend say adawat hai

نیند لانے گیا تھا میرے لیۓ

مَر گیا موت کا فرشتہ کہاں

neend lanay giya tha mery liye

mar giya maut ka farishta kahan

مٌجھے بھٌلا کے سونا تمھاری عادت بن گٸ ہے

نفرت ہو جاۓ گی نیند سے جب ہم سو جإیں گے

mujhy bhula kay sona tumhari aadat ban gai hai

nafrat ho jaye gi neend say jab ham so jain gaiy

تھکن سے چٌور بدّن بھی ہے نیند بھی ہے مگر

وہ کیا کرے جِسے تیری طلب نہ سونے دے

thakan say chur badan bhi hai neend bhi hai magar

vo kiya kary jisy teri talb na sonay day

شبِ ہجراں میں دور کھڑی مٌحسنؔ

نیند ہنستی ہے مٌجھ پر رات بھر

shab e hijran main dur kharri muhsin

neend hansti hai mujh par raat bhar

میرا نیندوں کے ساتھ جھگڑا ہے

خواب حسرت سے دیکھتے ہیں مٌجھے

mera neendon kay sath jhagrra hai

khwab hasrat say dekhty hain mujhy

read more

thanx for free image download

https://www.ecopetit.cat/

1 thought on “neend poetry in urdu – neend shayari”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge

Scroll to Top