Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Lyrics in Urdu – Fayyaz Hashmi Geet

“Aaj jaane ki zid na karo” is a famous Urdu geet written by Fayyaz Hashmi, composed by Sohail Rana, first sung by Habib Wali Mohammad for the Pakistani film Badal Aur Bijli (1973) in Raag Yaman Kalyan, and later made immortal by Farida Khanum (PTV 1993 and Coke Studio 2015).

Below are the complete lyrics — all 5 verses — in Urdu and Roman Urdu.

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Lyrics in Urdu

آج جانے کی ضد نہ کرو
یوں ہی پہلو میں بیٹھے رہو
ہائے مر جائیں گے، ہم تو لُٹ جائیں گے
ایسی باتیں کیا نہ کرو

aaj jaane ki zid na karo lyrics

تم ہی سوچو ذرا، کیوں نہ روکیں تمھیں
جان جاتی ہے جب، اُٹھ کے جاتے ہو تم
تم کو اپنی قسم جانِ جاں
بات اتنی میری مان لو

وقت کی قید میں، زندگی ہے مگر
چند گھڑیاں یہی ہیں جو آزاد ہیں
ان کو کھو کر ابھی جانِ جاں
عمر بھر نہ ترستے رہو

کتنا معصوم و رنگیں ہے یہ سماں
حُسن اور عشق کی آج معراج ہے
کل کی کس کو خبر جانِ جاں
روک لو آج کی رات کو

گیسوؤں کی شکن ہے ابھی شبنمی
اور پلکوں کے سائے بھی مدہوش ہیں
حسنِ معصوم کو جانِ جاں
بے خودی میں رسوا نہ کرو

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Lyrics in Roman Urdu

Aaj jaane ki zid na karo
Yun hi pahlu mein baithe raho
Hae mar jaenge hum to lut jaenge
Aisi baaten kiya na karo

Tum hi socho zara, kyun na roken tumhein
Jaan jati hai jab, uth ke jate ho tum
Tum ko apni qasam jaan-e-jaan
Baat itni meri man lo

Waqt ki qaid mein, zindagi hai magar
Chand ghadhiyan yahi hain jo aazad hain
Un ko kho kar abhi jaan-e-jaan
Umr bhar na taraste raho

Kitna ma’sum-o-rangin hai ye saman
Husn aur ‘ishq ki aaj me’raj hai
Kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko

Gesuon ki shikan hai abhi shabnami
Aur palkon ke sae bhi madhosh hain
Husn-e-ma’sum ko jaan-e-jaan
Be-khudi mein ruswa na karo

FAQs

Aaj jaane ki zid na karo kis ne likha?

Ye geet Pakistani shayar Fayyaz Hashmi ne likha tha.

Aaj jaane ki zid na karo kis ne gaya?

Isay pehle Habib Wali Mohammad ne 1973 ki film Badal Aur Bijli ke liye gaya; baad mein Farida Khanum ki awaz mein ye geet duniya bhar mein mashhoor hua.

Aaj jaane ki zid na karo ki dhun kis ne banai?

Is geet ki dhun Sohail Rana ne Raag Yaman Kalyan mein banai thi.

Also read:

10 romantic ghazal in urdu

sad poetry in urdu

Read more: aaj jaane ki zid na karo lyrics

1 thought on “Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Lyrics in Urdu – Fayyaz Hashmi Geet”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top