intezar poetry in urdu best 20 sher

read intezar poetry in urdu. Intezar is an Urdu word, which means waiting. The waiting term is very simple, But in poetic view, there is feeling and sensation in waiting for word. you can feel sensations in this blog about intizar.

اک رات گیا تھا وہ جہاں بات روک کے

اب تک رُکا ہُوا ہوں وہیں رات روک کے

ik raat giya tha wo jahan baat rook kay

ab tak ruka huwa hoon wahin raat rook kay

un kay aanay kay baad bhi jalib
un kay aanay kay baad bhi jalib

ان کے آنے کے بعد بھی جالبؔ

دیر تک ان کا انتظار رہا

un kay aanay kay baad bhi jalib

dair tak un ka intezar raha

kisi nazar ko mera intizar tha hi nahi
kisi nazar ko mera intizar tha hi nahi

بھرے جہان میں کوئی میرا یار تھا ہی نہیں

کِسی نظر کو میرا اِنتظار تھا ہی نہیں

bhary jahan main koi mera yaar tha hi nahi

kisi nazar ko mera intizar tha hi nahi

ham pay wajib hay intezar tera
ham pay wajib hay intezar tera

ہم پہ واجب ہے انتظار تیرا

خود کو رکھیں گے عمر بھر تنہا

ham pay wajib hay intezar tera

khud ko rakhain gain umer bhar tanha

wo aa rahay han, wo aaye haan, wo aa rahay hoon gaay
wo aa rahay han, wo aaye haan, wo aa rahay hoon gaay

وہ آ رہے ہیں ،وہ آتے ہیں، آ رہے ہوں گے

شبِ فراق یہ کہہ کر، گزار دی ہم نے

wo aa rahay han, wo aaye haan, wo aa rahay hoon gaay

shab e firaq yeh keh kar guzar di ham nay

phir bhi masroof intizar hai dil
phir bhi masroof intizar hai dil

جانتا ہے کہ وہ نہ آئیں گے

پھر بھی مصروف ِ انتظار ہے دِل

janta hai kay wo na aain gaiy

phir bhi masroof intizar hai dil

intezar poetry in urdu

roz ka intizar kon kary
roz ka intizar kon kary

آپ کا اعتبار کون کرے

روز کا انتظار کون کرے

aap ka aitbar kon kary

roz ka intizar kon kary

yeh soch kar kay tera intezar lazam hai - intezar poetry in urdu
yeh soch kar kay tera intezar lazam hai – intezar poetry in urdu

یہ سوچ کر کہ تیرا انتظار لازم ہے

تمام عُمر کِسی کی طرف نہیں دیکھا

yeh soch kar kay tera intezar lazam hai

tamam umer kisi ki taraf nahi dekha

ab rah taknay ki bari tumhari hai
ab rah taknay ki bari tumhari hai

اب راہ تکنے کی باری تُمہاری ہے

ہم اب کبھی تیری دہلیز پر نہیں آئیں گے

ab rah taknay ki bari tumhari hai

ham ab kabhi teri dehleez par nahi aain gain

mana kay teri deed kay qabil nahi hoon main
mana kay teri deed kay qabil nahi hoon main

مانا کہ تیری دید کے قابل نہیں ہوں میں

تو میرا شوق دیکھ ، میرا اِنتظار دیکھ

mana kay teri deed kay qabil nahi hoon main

tu mera shauq dekh mera intezar dekh

yeh jo pathar hai aadmi tha kabhi
yeh jo pathar hai aadmi tha kabhi

یہ جو پتھر ہے آدمی تھا کبھی

اِس کو کہتے ہیں اِنتظار میاں

yeh jo pathar hai aadmi tha kabhi

iss ko kehtay hain intizar mian

muhabbat kiya hai uss shakhs say pucho
muhabbat kiya hai uss shakhs say pucho

مُحبّت کیا ہے اُس شخص سے پوچھو

جس نے دِل ٹوٹنے کے بعد بھی اِنتظار کِیا

muhabbat kiya hai uss shakhs say pucho

jis nay dil tutnay kay baad bhi intezar kiya

اِنتظار بھی کِسی کا کِتنا ظالم ہوتا ہے

جگاۓ تو ساری رات رٌلاۓ تو ساری عٌمر

intezar bhi kisi ka kitna zalim hota hai

jagaye tu sari raat, rulaye tu sari umer

کون کہتا ہے کہ وقت بہت تیز گٌزرتا ہے

تم کبھی کسی کا انتظار تو کر کے دیکھو

kon kehta hai keh waqt buhat tez guzarta hai

tum kabhi kisi ka intizar tu kar k dekho

کر رہے ہیں انتظار تیری مٌحبّت کا

اِسی انتظار میں زندگی تمام نہ ہو جائے

kar rahy hain intizar teri muhabbat ka

issi intizar main zindagi tamam na ho jaye

اس انتظار میں بیٹھے ہیں اٌن کی محفل میں

کہ وہ نِگاہ اٌٹھإیں تو۔۔۔ ہم سلام کریں

iss intizar main baithy hain un ki mehfil main

keh wo nigah uthayn tu ham salam karain

کیوں سجاتے ہو روز انتظار کی محفل اے دِل

یہاں کس کو فرصت ہے کہ ہمیں یاد کرے

kiyun sajatay ho roz intizar ki mehfil aye dil

yahaan kis ko fursat hai ky hamain yaad kary

گھڑی جس نے بھی بناٸ ہو گی

شدّت سے کسی کا ہوگا انتظار کر رہا

gharri jis nay bhi banai ho gi

shiddat say kisi ka ho ga intizar kar raha

شبِ انتظار کی کشمکش میں نہ پوچھ کیسے سحر ہوٸ

کبھی اِک چراغ جلا دِیا کبھی اِک چراغ بٌجھا دِیا

read more

thanx for free image download

https://www.ecopetit.cat/

2 thoughts on “intezar poetry in urdu best 20 sher”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top