read dua poetry in urdu.

main faqeeron say bhi karta hun tajarat aksar
jo aik pesay main lakhon ki duain daity hain
meri hassrat hay kay mujhay mangay, iss tarah say koi
jaisy main nay us ko duaon main manga tha
jo zehar pii chuka hun tumhi nay mujhay diya
ab tum tu zindagi ki, duain mujhay na doo
tum nay mangi hi nahi sath duain meray milkar
baat bigri hui, aamen say bhi ban sakti thi
wo jo meri duaon main shamil tha
wo bin mangay kisi ko mil giya
hoti nahi qabool dua tarak e ishq ki
dil chahata na ho tu zuban main asar kahan
dua poetry in urdu
jan tum par nisar karta hoon
main nahi janta dua kiya hai
itna toota hoon kai choonay say bikhar jaon ga
ab agar aur dua doo gaiy tu mar jaon ga
meray wastay dua kar rahay han aap
khuda say darain yeh kiya kar rahay hain aap
dua karo jis ko chahay wo usay mil jaye
kabhi kabhi buhat rulati hai yeh adhori muhabbat
dua karna damm bhi aisay niklay
jis tarah tumharay dil say ham niklay
khamoshi say ki gai dua aur muhabbat
dono buhat taqat rakhti hain
koi charra nahi dua kay siwa
koi sunta nahi khuda kay siwa
duwa quotes in urdu
khuda mehfoz rakhy aap ko teenon balaon say
wakeelon say hakeemon say haseenon ki nigahon say
وہ بڑا رحیم و کریم ہے، مجھے یہ صفت بھی عطا کرے
تجھے بھولنے کی دٌعا کروں تو میری دٌعا میں اثر نہ ہو
wo barra raheem o qareem hai, mujhy yeh sifat bhi atta karry
tujhy bholny ki dua karon tu meri dua main asar na ho
kiyun ik dua main atak kar reh giya dil
kiyun tery siwa kuch aur manga hi nahi jata
dua karna dam bhi aisay niklay
jis tarah teray dil say ham niklay
tu mil jaye mujhy bas itna hi kafi hai
meri har sans nay bas yahi dua mangi hai
دعا شاعری
khuda kary usay kabhi dukh na mily
jis nay dukhaya hai dil mera
dur baitha koi tu dua deta hai
dobany lagta hoon tu samunder uchal deta hai
usay kehna apnay liye duaye khair kraya kary
meri siskiyan tumhain barbad kar dain gi
jisy main roz duaon main manga karta tha
ab iss kay haq main bhalla kesy bad-dua karon main
dawa bhi chal rahi hai marz bhi barrh raha hai
janay kon mery marnay ki dua kar raha ha
ajazat ho tu mang loon tujhy
ansu beh rahy hain dua radd nahi ho gi
Tum hi nay hum ko sunaya na apna dukh warna
Dua vo kartay Keh ham aasman hilla detay
thanx for free image download













Ma fakery sa b kamal key hai poetry
amazing poetry i like it nice to share this post
thanks