“Ranjish Hi Sahi” is one of Ahmad Faraz’s most loved ghazals, made immortal by Mehdi Hassan’s singing.
Here is the complete ghazal — all 6 ashaar — in Urdu with Roman text.

Ranjish Hi Sahi Lyrics in Roman Urdu
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
Kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
Kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
Ek umr se hun lazzat-e-girya se bhi mahrum
Ai rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa
Ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden
Ye aakhiri shamen bhi bujhane ke liye aa
Ranjish Hi Sahi Lyrics in Urdu

رنجش ہی سہی دل ہی دکھانے کے لیے آ
آ پھر سے مجھے چھوڑ کے جانے کے لیے آ

پہلے سے مراسم نہ سہی پھر بھی کبھی تو
رسم و رہِ دنیا ہی نبھانے کے لیے آ
کس کس کو بتائیں گے جدائی کا سبب ہم
تو مجھ سے خفا ہے تو زمانے کے لیے آ
کچھ تو مرے پندار محبت کا بھرم رکھ
تو بھی تو کبھی مجھ کو منانے کے لیے آ
اک عمر سے ہوں لذتِ گریہ سے بھی محروم
اے راحتِ جاں مجھ کو رلانے کے لیے آ
اب تک دل خوش فہم کو ہیں تجھ سے امیدیں
یہ آخری شمعیں بھی بجھانے کے لیے آ
FAQs
Ranjish Hi Sahi kis ki ghazal hai?
Ye ghazal Ahmad Faraz ki hai, un ki mashhoor tareen ghazalon mein se ek.
Ranjish Hi Sahi kis ne gaayi hai?
Is ghazal ko Mehdi Hassan ne ga kar amar kar diya; Tahira Syed, Farida Khanum aur Runa Laila ne bhi isay gaaya hai.
Ranjish Hi Sahi ghazal mein kitne ashaar hain?
Is ghazal mein kul 6 ashaar hain, jaisa ke is post mein diye gaye hain.
Also read:
ahmad faraz poetry in urdu
sad poetry in urdu
Read more: ranjish hi sahi lyrics
This is a beautiful ghazal.
good