Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Lyrics in Urdu

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Mohsin Naqvi ki mashhoor ghazal hai, jise Ghulam Ali ne ga kar amar kar diya. Neeche is ghazal ke 5 ashaar Urdu aur Roman mein diye gaye hain.

یہ دِل یہ پاگل دِل میرا کیوں بٌجھ گیا آوارگی

اِس دشت میں اِک شہر تھا،وہ کیا ہٌوا آوارگی

کل شَب مٌجھے بےشکل کی آواز نے چونکا دِیا

میں نے کہا تٌو کون ہے اٌس نے کہاآوارگی

یہ درد کی تنہإیاں یہ دشت کا ویراں سفر

ہم لوگ تو اٌکتا گۓاپنی سنا آوارگی

اِک اجنبی جھونکے نے جب پوچھا میرے غم کا سبب

صحرا کی بھیگی ریت پر میں نے لکھا آوارگی

کل رات تنہا چاند کو دیکھا تھا میں نے خواب میں

محسنؔ مٌجھے راس آۓ گی شاید سدّا آوارگی

ye dil ye pagal dil mera lyrics in urdu
ghazal lyrics in urdu

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Lyrics in Urdu

ye dil ye pagal dil mera kyun bujh giya aawargi

iss dasht main ik shehr tha, wo kiya huwa awargi

kal shab mujhy bay shakal ki awaz nay chonka diya

main nay kaha tu kon hai us nay kaha awargi

ye dard ki tanhaiyan yeh dasht ka veran safar

ham log tu ukta gaye apni suna awargi

ik ajnabi jhonky nay jab pucha mery gham ka sabab

sehra ki bheegi rait per main nay likha aawargi

kal raat tanha chand ko dekha tha main nay khwab main

mohsin mujhy raas aye gi shayad sada awarrgi

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera kis shayar ki ghazal hai?

Ye ghazal mashhoor shayar Mohsin Naqvi ki hai, jinka asal naam Syed Ghulam Abbas Naqvi tha.

Ye ghazal kis ne gaayi hai?

Is ghazal ko mashhoor gulukar Ghulam Ali ne ga kar amar kar diya hai.

Is ghazal mein kul kitne ashaar hain?

Is ghazal mein kul 5 ashaar hain, jismein aakhri sher mein shayar ne apna takhallus Mohsin istemal kiya hai.

Also read: romantic poetry in urdu, mohsin naqvi poetry

read more

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top