read zalzala poetry in urdu
کیوں تیرے درّد کو دیں تہمتِ ویرانیِ دل
زلزلوں میں تو بھرے شہر اٌجڑ جاتے ہیں
kiyun tery dard ko dain tuhmat e verani e dil
zalzalon main tu bhary shehr ujar jaty hain
زلزلے بے سبب نہیں آتے
کوئی عاشق تہہِ خاک تڑپتا ہو گا
zalzaly besabab nahi aatay
koi aashiq teh e khak tarapta ho ga
zalzala poetry in urdu
وہ اپنے ہونے کا احساس کبھی اِس طرح بھی دیتا ہے
رٌلا دیتا ہے جب کبھی تھوڑی سی زمیں ہلا دیتا ہے
vo apnay honay ka ehsas kabhi iss tarah bhi deta hai
rulla deta hai jab kabhi thorri si zameen hila deta hai
کبھی آیا تھا میری زندگی میں زلزلہ آزرؔ
مٌجھے اب تک زمیں ہلتی ہوئی محسوس ہوتی ہے
kabhi aya tha meri zingdgi main zalzla aazar
mujhy ab tak zameen hilti hui mehsos hoti hai