poetry

nazuki uske lab ki kya kahiye ghazal

read nazuki uske lab ki kya kahiye ghazal

ہستی اپنی حباب کی سی ہے

یہ نمائش سراب کی سی ہے

نازکی اس کے لب کی کیا کہیے

پنکھڑی اِک گلاب کی سی ہے

چشمِ دِل کھول اس بھی عالم پر

یاں کی اوقات خواب کی سی ہے

بار بار اس کے در پہ جاتا ہوں

حالت اب اضطراب کی سی ہے

نقطۂ خال سے تیرا ابرو

بیت اک انتخاب کی سی ہے

میں جو بولا کہا کہ یہ آواز

اِسی خانہ خراب کی سی ہے

آتشِ غم میں دِل بھنا شاید

دیر سے بو کباب کی سی ہے

دیکھیے ابر کی طرح اب کے

میری چشم پر آب کی سی ہے

میرؔ اِن نیم باز آنکھوں میں

ساری مستی شراب کی سی ہے

nazuki uske lab ki kya kahiye ghazal

hasti apni habab ki si hai

ye numaish sarab ki si hai

nazuki us kay lab ki kiya kajiye

pankharri ik gulab ki si hai

chashm e dil khol iss bhi aalam par

yaan ki auqat khwab ki si hai

bar bar us kay dar pay jata hoon

halat ab iztarab ki si hai

nuqta e khal say tera abru

bait ik intkhab ki si hai

main jo bola kaha ke ye awaz

issi khana khrab ki si hai

aatish e gham main dil bhuna shayad

dair say boo kabab ki si hai

dekhye abr ki tarah ab kay

meri chashm par aab ki si hai

meer inn neem baz ankhon main

sari masti sharab ki si hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

CommentLuv badge