read karbala poetry in urdu text
قتلِ حٌسین اصل میں مرگِ یزید ہے
اسلام زندہ ہوتا ہے ہر کربلا کے بعد
qatal e hussain asal main marg e yazeed hai
islam zinda hota hai har karbla kay baad
تیرگی سے بھرے عالم کو روشنی دی ہے
کربلا والوں نے غیرت کو زندگی دی ہے
tergi say bhary aalam ko roshni di hai
karbla walon nay gherat ko zindagi di hai
بے بسی کے شور میں، ستمگری ہے امتحاں
دلخراش ہے فضا، اور آنسوؤں کا ہے سماں
baybasi kay shor main sitamgari hai imtihan
dilkhrash hai fiza aur aansuon ka hai saman
karbala poetry in urdu text
نہ بقا نے دیکھی ہے نہ قضّا نے دیکھی ہے
جو گھڑی قیامت کی کربلا نے دیکھی ہے
na baqa nay dekhi hai na qaza nay dekhi hai
jo ghari qiyamat ki karbala nay dekhi hai
میرا حٌسینؓ ابھی کربلا نہیں پہنچا
میں حر ہوں اور ابھی لشکر یزید میں ہوں
mera Hussain abhi karbala nahi puhncha
main hurr hoon aur abhi lashkar e yazeed main hun