poetry

yaad poetry in urdu best 20 sher

read yaad poetry in urdu best.

میں تُم سے کُچھ نہیں کہتا فقط اِتنی گُزارش ہے

کہ اِتنی بار مِل جاو، کہ جِتنا یاد آتے ہو

main tum say kuch nahi kehta faqat itni guzarish hai

keh itni bar mil jao keh jitna yaad aatay ho

main nay tarrap kay kaha buhat yaad aatay ho tum – yaad poetry in urdu

میں نے تڑپ کے کہا بہت یاد آتے ہو تم

وہ مسکرا کر بولے ، تمہیں اور آتا ہی کیا ہے

main nay tarrap kay kaha buhat yaad aatay ho tum

wo muskura kay bolay tumhain aur aata hi kiya hai

aik muddat say teri yaad bhi na aai hamain

ایک مُدّت سے تیری یاد بھی نہ آئی ہمیں

اور ہم بھول گئے ہوں گے تجھے ایسا بھی نہیں

aik muddat say teri yaad bhi na aai hamain

aur han bhool gaye hon gai tujhay aisa bhi nahi

yaad phir bhi tumhari aati hai

خود کو مصروف کر کے دیکھا ہے

یاد پھر بھی تمھاری آتی ہے

khud ko masroof kar kay dekha hai

yaad phir bhi tumhari aati hai

ham yaad khuda kartay hain kar lay na khuda yaad

رہتا ہے عِبادّت میں ہمیں مَوت کا کھٹکا

ہم یادِ خُدا کرتے ہیں، کر لے نہ خُدا یَاد

rehta hai ibadat main hamain maut ka khatka

ham yaad khuda kartay hain kar lay na khuda yaad

insan ko rehti hai kahan apni khata yaad

بندے سے کیوں پُرسِشِ اعمال اِلٰہی

اِنسان کو رہتی ہے کہاں اپنی خطا یاد

banday say kiyun pursish e aamal ellahi

insan ko rehti hai kahan apni khata yaad

yaad poetry in urdu

lakh kata hai teri yaad ko jarr say main nay

لاکھ کاٹا ہے تیری یاد کو جڑ سے میں نے

کیا کروں پھر سے یہ شجر مجھ میں نِکل آتا ہے

lakh kata hai teri yaad ko jarr say main nay

kiya karon phir say yeh shajar mujh main nikal aata hai

tumhari yaad ki shidat main behnay wala ashk

تمھاری یاد کی شدّت میں بہنے والا اشک

زمیں میں بو دیا جإے تو آنکھ اُگ آئے

tumhari yaad ki shidat main behnay wala ashk

zameen main bau diya jaye tu ankh uug aye

zara sa hat kay chalta hoon zamanay ki rawayat say

ذرا سا ہٹ کے چلتا ہوں زمانے کی روایت سے

کہ جن پہ بوجھ ڈالا ہو ، وہ کندھے یاد رکھتا ہوں

zara sa hat kay chalta hoon zamanay ki rawayat say

kay jin pay bojh dala ho wo kandhay yaad rakhta hoon

آفریں تجھ پہ ، کہ تیرا بھولنا اکثر

آفریں مجھ پہ ۔ کہ تیری یاد مسلسل

aafrin tujh pay keh tera bholna aksar

aafrin mujh pay keh teri yaad musalsil

تم یاد آٶ بھی تو چٌپ رہتے ہیں

کہ آنکھوں کو خبر ہوٸ تو برس جائیں گی

tum yaad aao bhi tu chup rehty hain 

keh aankhon ko khabar hui tu baras jain gi

یاد اٌس کی اَب بھی آتی ہے 

بٌری عادت ہے ، کہاں جاتی ہے۔

yaad uus ki ab bhi aati hai

burri aadat hai, kahan jaati hai

یاد شاعری

آج ٹوٹ کر اس کی یاد آئی تو احساس ہوا محسنؔ

اٌتر جاتے ہیں جو دل میں وہ بھلائے نہیں جاتے

aaj toot kar us ki yaad aai tu ehsas huwa muhsan

uter jatay hain jo dil main wo bhulaye nahi jatay

کبھی ٹوٹا نہیں میرے دِل سے اٌس کی یاد کا رشتہ

گٌفتگو جس سے بھی ہو خیال اٌسی کا رہتا ہے

kabhi toota nahi mery dil say us ki yaad ka rishta

guftagu jis say bhi ho khyal usi ka rehta hai

مٌلاقاتیں نہیں مٌمکن ہمیں احساس ہے لیکن

تٌمھیں ہم یاد کرتے ہیں بس اِتنا یاد رکھنا تم

mulaqatain nahi mumkin hamain ehsas hai lekin

tumhain ham yaad kartay hain bas itna yaad rakhna tum

بہت سوچ کر سوچا ہےکِنارا کر لیا جاۓ

فقط تیری یادوں پر گٌزارا کر لیا جاۓ

buhat soch kar socha hai kinara kar liya jaye

faqat teri yadon per guzara kar liya jaye

ہچکیاں رات کو آتی ہی گٕیں

تو نے پھر یاد کِیا ہو جیسے

hichkiyan raat ko aati hi gain

tu nay phir yaad kiya ho jaisy

یادوں میں تیری یاد تھی، کیایاد تھی کُچھ یاد نہیں

تیری یاد میں سب بھول گئے ، کیا بھول گئے کُچھ یاد نہیں

yadon main teri yad thi, kiya yad thi kuch yad nahi

teri yaad main sab bhool gaye, kiya bhool gaye kuch yaad nahi

کہاں کہاں سے مٹاٶ گے یادیں میری

ہم تو تٌجھے ہر موڑ پہ یاد إٓئیں گے

kahan kahan say mitao gaiy yaadain meri

hum tu tujhy har morr pay yad aain gaíy

پہلے اِک یاد سَرِ شام جلاتی ہے مٌجھے

پھر میرے گھر میں بہت دیر دھٌواں رہتا ہے

palay eik yaad sar sham jalti majay

par mara ghar mai baught dard darta ratha hai

read more

thanx for free image download

https://unsplash.com/

admin

Leave a Comment

View Comments

Share
Published by
admin