read mujh se pehli si muhabbat lyrics in urdu
this famous ghazal “mujh se pehli si mohabbat”is from Naqsh e Faryadi. Read full lyrics
mujh say pehlisi mohabat mere mahboob na maang
main ne samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat
tera ghum hai tu gham-e-dehar ka jhagra kiya hai
teri surat say hai alam mein baharon ko sabaat
teri aankhon ke siva duniya mein rakkha kya hai
tu jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaaye
yuon na tha, main ne faqat chaha tha yuon ho jaaye
mujh say pehlisi mohabat mere mahboob na maang
an ginat sadiyon ke taarek bahemana talism
resham o atlas o kam-khab mein bunwaye huye
ja-ba-ja biktey huye koocha-o baazaar mein jism
khaak men lithre hoye khoon mein nahlaye hoye
laut jaati hai idhar ko bhi nazar kya keeje
ab bhi dilkash hai tera husan magar kiya keeje
aur bhi dukh hain zamaane mein mohabat ke siva
rahateen aur bhi hain wasal ki rahat ke siva
مجھ سے پہلی سی محبّت مرے محبوب نہ مانگ
میں نے سمجھا تھا کہ تُو ہے تو درخشاں ہے حیات
تیرا غم ہے تو غمِ دہر کا جھگڑا کِیا ہے
تیری صورت سے ہے عالم میں بہاروں کو ثبات
تیری آنکھوں کے سوا دنیا میں رکھا کیا ہے
تو جو مل جائے تو تقدیر نگوں ہو جائے
یوں نہ تھا، میں نے فقط چاہا تھا یوں ہو جائے
اَن گِنت صَدیوں کے تاریک بہیمانہ طلسم
ریشم و عطلس و کمخواب میں بُنوائے ہوئے
جا بجا بِکتے ہوئے کوچہ و بازار میں جِسم
خاک میں لِتھڑے ہوئے خون میں نہلائے ہوے
لوٹ جاتی ہے اِدھر کو بھی نظر کیا کیجے
اب بھی دلکش ہے ترا حسن، مگر کیا کیجے
اور بھی دکھ ہیں زمانے میں محبّت کے سوا
راحتیں اور بھی ہیں وصل کی راحت کے سوا
View Comments
Nice