read chor fikr duniya ki naat lyrics in urdu
چھوڑ فکر دنیا کی چل مدینے چلتے ہیں
مصطفیٰ غٌلاموں کی قسمتیں بدلتے ہیں
رحمتوں کی چادر کے سر پہ ساۓ چلتے ہیں
مٌصطفیٰ کے دِیوانے گھر سے جَب نِکلتے ہیں
نقش کر لے سینے پر نام سرورِ دین کا
یہ وہ نام ہے جس سے سب عذاب ٹلتے ہیں
سچ ہیں غیر کا احسان ہم کبھی نہیں لیتے
اے علیم آقا کےہم ٹٌکڑوں پہ پلتے ہیں
ہمکو روز ملتا ہے صدقہ آلِ زہرا کا
پنجتن کے ٹٌکڑوں پر خوش نصیب پلتے ہیں
اٌس کو کیا ضرورت ہے عِطر و مٌشک وعنبّر کی
خاک جو مدینے کی اپنے تن پہ مَلتے ہیں
chorr fikr duniya ki chal madinay chaltay hain
mustafa ghullamon ki qismatain badalty hain
rehmaton ki chadar kay sar pay saye chaltay hain
Mustafa(SAWW) kay dewany ghar say jab nikaltay hain
naqash kar lay seenay par naam sarwar e deen ka
ye vo naam hai jis say sab azab taltay hain
sach hain ghair ka ehsan hum kabhi nahi letay
aye aleem aaqa kay hum tukron pay paltay hain
hum ko roz milta hai sadqa aal e zahra ka
panjtan kay tukron par khush naseeb paltay hain
us ko kiya zarurat hai itar o mushk o anbar ki
khak jo madeenay ki apnay tan pay maltay hain
Leave a Comment